chaman ki sar-zamin apni chaman ka aasman apna banaen kis liye ek shakh-e-gul par aashiyan apna hain is ke khar-o-gul apne khizan apni bahaar apni bahar-surat hamein mahbub hai ye gulsitan apna chaman ki bazm-e-ranga-rang mein raqsan hai yak-rangi ki is ka saz-e-sad-awaz bhi hai ham-zaban apna yahan parhez kaisa aao rindan-e-watan aao ki jam apna hai apna mai-kada pir-e-mughan apna girain is pe lakhon bijliyan charkh-e-sitamgar ne magar ab bhi tajalli-rez hai jannat-nishan apna na ab gulchin hai khosha-chin na wo sayyaad jabir hai jo tha na-mehrban ab ho raha hai mehrban apna koi is daur mein begana ho kar rah nahin sakta ki har ahl-e-chaman 'hindi' hai khud hi pasban apna