kis ne kaha ki jaiye kis ne kaha ki aaiye kis ne kaha ki dil se peng sham-o-sahar badhaiye kis ne kaha mata-e-naz nazr-e-niyaz kijiye kis ne kaha haqiqaten rehn-e-majaz kijiye aap ne fitna-e-junun aap se aap utha diya hath mein le ke musht-e-khak aap ne dil bana diya aap ne dil ko gham diya gham ko dawam de diya jam mein dhaal di sharab daur mein jam de diya aalam-e-kaenat mein aap ne mastiyan bharin jalwon se wadiyan bharin naghmon se bastiyan bharin aankh khuli to aankh mein rang-e-bahaar bhar diya shisha-e-pak-o-saf mein le ke ghubar bhar diya zauq-e-nazar asir-e-sang ho ke jo dar-ba-dar gaya aap gae kashan kashan ishq jidhar jidhar gaya khub hue nazar nazar kucha-e-eatibar mein kitne hain chaak dekhiye jalwa-e-parda-dar mein