hum jang na hone den wishwa-shanti ke hum sadhak hain jang na hone denge kabhi na kheton mein phir khuni khad phalegi khaliyanon mein nahin maut ki fasl khulegi aasman phir kabhi na angare uglega atom se nagasaki phir nahin jalega yuddh-wihin wishw ka sapna bhang na hone denge jang na hone denge hathiyaron ke dheron par jin ka hai dera munh mein shanti baghal mein bam dhoke ka phera kafan bechne walon se kah do chilla kar duniya jaan gai hai un ka asli chehra kaamyab ho un ki chaalen dhang na hone denge jang na hone denge hamein chahiye shanti zindagi hum ko pyari hamein chahiye shanti srijan ki hai tayyari hum ne chhedi jang bhuk se bimari se aage aa kar hath batae duniya sari hari-bhari dharti ko khuni rang na lene denge jang na hone denge bhaarat pakistan padosi sath sath rahna hai pyar karen ya war karen donon ko hi sahna hai tin bar lad chuke ladai kitna mahnga sauda rusi bam ho ya ameriki khun ek bahna hai jo hum par guzri bachchon ke sang na hone denge jang na hone denge