mujhe juzdan mein tum ne lapeta phir us ke ba'd taqon par sajaya meri aayat ke tawiz kar ke tumhi ne mujh ko jismon par sajaya kabhi sach qatl kar dene ki khatir saron par apne jhuton ne uthaya mujhe samjhe bina padhte rahe tum meri tauhin yun karte rahe tum mere alfaz ko taswir kar ke sajaya ghar ki diwaron ko tum ne muballigh ne ghalat tashrih kar ke mere paigham ki tauhin ki hai main rakkha jahilon ki rehl par hun tabhi to aisi haalat din ki hai mohabbat amn ka paigham hun main agar samjho to ek inam hun main khuda ke waste khud ko sanbhaalo mujhe juzdan se bahar nikalo