pahadi raston par lakdiyon ki gathriyan sar par sambhaale ja raha hai aadi-wasi auraton ka qafila ye qafila kuchh dur ja kar ganw ke bazar mein thahrega aur phir lakdiyan sar se utari jaengi khubsurat jangalon se kat kar lai gai ye lakdiyan bazar ki zinat banengi lakdiyon ka bojh dho kar lane wali aurten khamosh rah kar dil hi dil mein apne hatte-katte mardon ki jawan-mardi ke naghme gaengi aur ganw ke bazar se kuchh dur un ke mard apni tez kulhadi se jangal ka safaya karne mein masruf honge ye wahi jangal hai jis ka husn qaem tha inhin shaidaiyon se zarre zarre mein isi jangal ke goshe goshe mein shaidaiyon ki ruh basti thi isi jangal mein un ka jism laghar ho chala hai aur apni zindagi ko baqi rakhne ka yahi ek rasta in ko nazar aaya hai jangal khatm kar ke khud wo jina chahte hain hum taraqqi ke hazaron dawe karne wale danish-mand andar se bahut hi khokhle hain