ye zindagi ka safar ajab hai ki is mein jo bhi mila wo mil kar bichhad gaya hai chala tha jab karwan hamara nae ufuq ki taraf to hum bhi jawan umangon ke pasban the qadam qadam par jab ek ek kar ke sab hamare rafiq chhute to jin nai manzilon ki jaanib chale the kal hum wo sab ufuq ki tarah gurezan khala mein tahlil ho gai thin main is masafat se thak gaya hun magar mujhe koi gham nahin hai main apne baad aane wali naslon ke haq mein ab ye dua karunga wo manzilen jin ke waste main ne zindagi ka aziz sarmaya taj diya hai wo manzilen un ki gard-e-pa hon wahan se jab wo guzar ke aage ki manzilon ki taraf badhen meri sari khushiyon ko apna zad-e-safar samajh kar wo sath rakh len