nadi ke haal ko ab dekh kar afsos hota hai nadi ka ek mazi tha na jaane kitni tarikhi kitabon mein nadi ki ahmiyat ke an-ginat abwab raushan hain nadi tahzib ka maskan rahi hai isi ki mauj ne aaghaz mein insan ko waqif karaya irtiqai marhalon se isi ke saf aur shaffaf pani ne yugon tak mukhtalif naslon ki dil se aabiyari ki isi ki chikhti chinghadti lahron pe ghalba pa ke insan ne taraqqi ki magar andhi taraqqi ne nadi ki shakl itni maskh kar dali ki aankhon ko kisi surat yaqin aata nahin jo kuchh nazar ke samne hai wo haqiqat hai gande badbu-dar nale ki tarah jo bah rahi hai yahi to wo nadi hai tazkire jis ke kitabon mein bhare hain kitni tahzibon ka jo maskan rahi hai nadi ke haal ka jab jaeza leti hain nazren to bahut afsos hota hai