wo qurbaten wo rahaten wo dil-nawaz sohbaten wo dilruba sadaqaten wo ek lamha-e-tarab mein kaenat-e-rang-o-bu ki wusaten kahan hain ab kahin hain sab palak jhapakte hi wo kaise ek sarab ki tarah se reg-zar-e-tishna-lab mein dhans gain habab ki tarah wo kyon hawa ki ek chot se hi tut kar bikhar gain ye duriyan ye fasle ye sust-gam fasle azab se azab tak ye tishna-kaam fasle sarab se sarab tak jarahaton ke dasht mein ye khun-chakan faza-e-dil ye aable ye khamushi ye waswason ki gard se ati muhib khamushi jo das rahi hai dam-ba-dam har ek manzar-e-khayal ko ye kis tarah ke ham-safar hain kaise ye rafiq hain magar ye mujh se kis qadar qarib hain ki ab tumhaari chahaton ke bas yahi halif hain