teri chashm-e-mai gun ka labrez saghar jawani teri kaif-awar jawani gulistan dar aaghosh-e-husn-e-tabassum wo tere lab-e-surkh ki gul-fishani takallum ke andaz khamoshiyon mein zaban-e-nazar par haya ki kahani tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun wo sanson ki tezi wo sine ki dhadkan wo donon ka chhup-chhup ke aansu bahana wo tajdid-e-ulfat ke sau-sau bahane wo ek dusre se yun hi ruth jaana wo tark-e-mohabbat ke ilzam de kar kisi ka kisi ko hansi mein rulana tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun wo pas-e-adab wo khulus-e-mohabbat wafur-e-tamanna mein khamosh rahna wo nazzargi mein tahayyur ka aalam khud apni nigahon se khamosh rahna raza-ju-tabiat wo talim-koshi gham-o-ranj mein bhi wafa-kosh rahna tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun sawalon ka tumar mubham zaban mein magar raaz-e-dil ka na izhaar karna nigahen milane mein to ek jhijhak si magar dil hi dil mein mujhe pyar karna wo arz-e-mohabbat pe masum wade wo luknat zaban ki wo iqrar karna tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun teri chashm-e-pur-nam wo masud saat yaqin ban gaya jab guman-e-mohabbat mohabbat ke din aur wo furqat ki raaten duaen thin jab tarjuman-e-mohabbat wo khat jin ka har lafz ek dastan tha wo jazbaat se pur-bayan-e-mohabbat tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun wo chhitki hui chandni ki bahaaren wo gul-posh raaten wo dilkash nazare manazir simatte hue aabju mein falak par chamakte hue chand tare wo thak kar kisi ka yun hi baith jaana wo uthna kisi ka kisi ke sahaare tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun wo tufan-e-jazbaat-o-zor-e-tamanna wo josh-e-mohabbat wo pur-shauq baaten wo ghadiyan wo aaram-o-rahat ki ghadiyan wo farhat ke din wo masarrat ki raaten wo ghaten wo ghaton ke parde mein wade wo wade wo wadon ke parde mein ghaten tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun maal-e-masarrat wo majbur aansu wo kaif-e-tarb ka gham-anjam hona pur-ilzam baaten wo sab ki zaban par mohabbat ke qisse ka wo aam hona wo bargashta-khatir buzurgon ki baaten wo masum ruhon ka badnam hona tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun wo din tafraqa-khez majburiyon ka fareb-e-muqaddar ki wo chira-dasti khumar-e-mai aish aur na-muradi wo marg-e-tamanna wo anjam-e-masti rusum-e-kuhan ki sitam-afrini zamane ka jaur-e-qadamat-parasti tu hi mujh se kah de main kyun bhul jaun