aao ab dhundo mujhe phisaddi keh ke mujh ko chhedne walo harao ab mujhe han mujhe bhi khel lagta tha ye sab kuchh ibtida mein magar ye bhi to socho musalsal haar koi khel hai jo khel is ko man leta main kahan tak haarta main? mere chhupne ke sab kone ujagar ho gae the bahut aasan hota ja raha tha dhundna mujh ko mujhe ab jitna tha kisi qimat pe mujh ko jitna tha so main ne ye kiya wo aahat jo meri dushman rahi thi aaj tak main ne usi ko mar dala aur ja kar chhup gaya khud qabr ke takhton ke pichhe manon mitti ke niche