ghir ke kyon aae hain yun ranj-o-alam sham ye kyon ban gai hai sham-e-gham ja raha hai kaun ye odhe kafan ro rahe hain kis ko sab ahl-e-sukhan haal hai abtar sukhan ke bagh ka dagh hai ye jaanashin-e-'dagh' ka ho gai hai aaj urdu kyon udas matami hai kis liye is ka libas kaun hoga is zaban ka pasban kaun ab bolega dilli ki zaban sher sun kar kis ka honge shad-kaam kaun samjhaega lafzon ka maqam khamiyon par kis ko ghussa aaega kaun mohmal lafz par jhallaega ek sadi ke inqilabon ka bayan kaun dohraega ab wo dastan be-khudi to sath 'bekhud' ke gai rah gai hai hosh ki fitnagari qaum par hota hai ek saya adib mulk ka hota hai sarmaya adib khidmat-e-sher-o-adab karta hai wo maut aane se nahin marta hai wo kaun kahta hai ki 'bekhud' mar gae nam la-fani wo paida kar gae thak gae the umr bhar ke kaam se so rahe hain qabr mein aaram se