mere badan par baithe hue gidh mere gosht ki boti boti noch rahe hain meri aankhen mere hasin khwabon ke nasheman meri zaban moti jaise alfaz ka darpan mere bazu khwabon ki tabir ke zamin mera dil jis mein har na-mumkin bhi mumkin meri ruh ye sara manzar dekh rahi hai soch rahi hai kya ye sara khel-tamasha (khun-khwaron ke dastar-khwan pe mera lasha) lazzat-e-kaam-o-dahan ke liye tha