goliyon se ye jawan aag na bujh paegi gas phenkoge to kuchh aur bhi lahraegi ye jawan aag jo har shahr mein jag utthi hai tirgi dekh ke is aag ko bhag utthi hai kab talak is se bachaoge tum apne daman ye jawan aag jala degi tumhaare aiwan ye jawan khun bahaya hai jo tum ne aksar ye jawan khun nikal aaya hai ban ke lashkar ye jawan khun siyah-raat ka rahne dega dukh mein dube hue haalat na rahne dega ye jawan khun hai mahlon pe lapakta tufan us ki yalghaar se har ahl-e-sitam hai larzan ye jawan fikr tumhein khun na pine degi ghasibo ab na tumhein chain se jine degi qatilo rah se hat jao ki hum aate hain apne hathon mein liye surkh alam aate hain tod degi ye jawan fikr hisar-e-zindan jag utthe hain mere des ke bekas insan