main tanha hijr ke jangal ke ghaaron mein jalati hun sukhan ke wo diye jin ko abhi bahar ki zahrili hawaen ajnabi mahsus karti hain abhi ye raushni jo sach ki khushbu ki hifazat ke liye tarikiyon se lad rahi hai, na-shanasi ke ghubar-alud raston se guzarti hai abhi jugnu shabon mein apne hone ki gawahi tak nahin dete abhi to titliyan maile paron se dar-ba-dar phirti hain be-chaari abhi to chand bhi thandak nahin deta mohabbat ki abhi to raat ke shanon pe hain haalat ki zulfen mujhe malum hai main jaanti hun mujh ko rahna hai isi ghaar-e-aziyyat mein magar sun lo yahin se mere honton ko mila hai wasf-e-goyai yahin se mere honton ko mila hai wasf-e-goyai yahin se main ne sach ki raushni khud mein utari hai isi ghaar-e-aziyyat ne mere lafzon ko aawazen ata ki hain yahin se ek din suraj nikalna hai wafaon ka yahin se ek din harf-e-mohabbat bhi janam lega mere lafzon mein mani ka asar mahsus karte ho meri aawaz sunte ho