bedar huin mahr-e-jawani ki shuaen padne lagin aalam ki isi samt nigahen khwabida the jazbaat badalne lage karwat ru-e-sharar-e-tur se hatne laga ghungat bharne lage bazu to hue band-e-qaba tang chadhne laga tifli pe jawani ka naya rang saghar ki khanak ban gai us shokh ki aawaz barbat ki hui gudgudi ya jag uthe saz aaza mein lachak hai to hai ek loch kamar mein aasab mein para hai to bijli hai nazar mein aane lagi har baat pe ruk ruk ke hansi ab rangin tamawwuj se giran-bar hue lab wo dekh badalte hue pahlu koi uttha wo dekh bigade hue gesu koi uttha wo dekh ki kis gul ki mahak phaili hai har-su wo dekh ki hai kaun rawan bajte hain ghungru kam-bakht ajal thi ye jawani ki qaba mein tukde hain kisi dil ke bhi naqsh-e-kaf-e-pa mein