ye baaten hain jawani ki kahani hai jawani hai jawani mein ki quwwat bazuon mein hai wahi hai umr jo aksar sabab banti hai jurat ka wa shohrat ka ye baaten hain jawani ki kahani hai jawani ki bana kar tegh jis ko shahsawaron ne akhade zulm-o-zillat ke sabhi lashkar zamin par se samundar se ye baaten hain jawani ki kahani hai magar daur-e-jawani ye bahaar-e-zindagi ban kar nahin aaya mere ghar mein raha rukha sahn mera zehn mera ye baaten hain jawani ki kahani hai yahan kuchh uljhanen thi yun zehn ka rog ban kar ke jinhon ne mujh ko khaya hai jalaya hai mujhe har din ghadi gin gin ye baaten hain jawani ki kahani hai kisi nazdik wale ne fareb aisa diya ki bas yaqin mera sabhi jag se utha bilkul utha yak-dam raha bas gham ye baaten hain jawani ki kahani hai parinda hun nahin hain par hain talwaren miyanon mein nahin jata hun jangon mein kisi ghar mein kisi dil mein na mahfil mein ye baaten hain jawani ki kahani hai main badbakhton ka waris hun nianderthal se le kar ke ye homo-sapien kitne jale yunhi kahani mein jawani mein