sochta hun apni man ka haq ada kaise karun meri izzat meri azmat ka sabab hai meri man meri neamat meri daulat hai wahi ek mehrban bais-e-rahmat hai wo mere liye jannat-nishan kyon na phir ji jaan se us zat ki khidmat karun meri paidaish pe taklifen uthain be-shumar main hua bhuka to dudh apna pilaya bar bar mujh ko sine se laga kar hi use milta qarar wo sarapa mamta hai aur us ko kya kahun din ko din us ne na samjha aur na samjha shab ko shab meri bimari mein us ka haal ho jata ajab wo dua kar ke dawa kar ke bhi darti be-sabab chhin leti meri bimari gharaz sabr-o-sukun main shararat bhi agar karta to wo karti thi pyar main satata bhi to wo karti thi jaan mujh par nisar al-gharaz thi mere dam se zist us ki pur-bahaar us ki ulfat us ki shafqat ka bayan main kya karun saya-e-shafqat mein us ke ho gaya ab main bada ab samajh sakta hun apne haq mein achchha aur bura jaanta hun khub main farman rasulullah ka main siwae kufr ke har hukm us ka man lun ai khuda-e-do-jahan ai malik-e-roz-e-jaza haq ada karta rahun man-bap ka ahbab ka dusron ko bhi meri jaisi saadat kar ata main ki 'sahil' garche tera banda-e-nachiz hun sochta hun apni man ka haq ada kaise karun