khayal ke dastar-khwan se laziz zaiqe chakhti mohabbat adhuri ziyafat se bhuk mitane ki aadi hai garm faza joshili ret se masti mein magan hai jis sahra ke daman mein mera khema gada hai wahin kuchh fasle se mera ghoda chabuk ke raqs ka muntazir hai naqshe par ubhre dariya ki taraf pesh-qadmi ka ijazat-nama to mil chuka magar main khud-aziyyati ki tarikhi tartib mein radd-o-badal se inkari hun jis wadi mein muskurahaton ka zafrani suraj aur wasl ke kasni chand ka basera hai main us maskan ki taraf nahin laut sakti agarche meri majbur mohabbat meri khud-sakhta zad se tang hai magar main kya karun main ne mahrum insanon ke mushtarka sarmae mein apna hissa dal rakha hai