dil hai faulad ka patthar ka jigar rakhte hain jaan jokhon mein kaf-e-dast pe sar rakhte hain khun rulaega tujhe bhi mera afsana-e-gham ham-qafas puchh na kyon dida-e-tar rakhte hain kyon na tadpae hamein apne watan ki haalat soz-e-dil rakhte hain hum dard-e-jigar rakhte hain ai jafa-kar tu mazlum ki fariyaad se dar ye wo bande hain ki aahon mein sharar rakhte hain wo tahi-dast hain jo zor na zar rakhte hain jazba-e-hubb-e-watan dil mein magar rakhte hain kis ko dete hain bhala dar-o-rasan ki dhamki kya daraate ho ki hum tir-o-tabar rakhte hain hum ko pistaul ka dar hai na mashinon ka khatar mard-e-maidan hain hum sina-sipar rakhte hain koi bhaala hai na khanjar hai na bam hathon mein aur na talwar ko hum zeb-e-kamar rakhte hain tum ko taqat ka bharosa hai jo bedad-garo hum ko ye naz ki nalon mein asar rakhte hain rahnumaon ki tamanna hai na rahzan ka khatar hum wo rah-rau hain ki manzil pe nazar rakhte hain hum bhi aazad watan ko kabhi dekhen 'sabir' ye dua wird-e-zaban sham-o-sahar rakhte hain