wahan hun main jahan chaaron taraf mere samundar aansuon ke bah rahe hain agar main bhagna chahun to un mein dub jaunga mafar ka rasta koi nahin hai to main ek jail mein rakkhe gae ek aise qaidi ki tarah hun ki jis ko katni hogi saza-e-qaid-e-umr magar kis jurm ki padash mein aisi saza katun har ek qaidi saza-e-umr-e-dauran kat kar aazad samton mein rawana ho chuka hai magar main aaj bhi anjaane jurmon ka saza-yab salib-e-gham uthae phir raha hun main apni zat ke tanha jazire mein rahun kab tak