tu ai lakka-e-abr tere badan ke musamat khaliyon mein zahr-e-alam is tarah ghul raha hai ki tera ek ek ang nila hua hai tu is darja ro ki talab ban jae jhil tu ai chhoti-moti pahadi pighalte hue gham ke lawe ko sine mein apne chhupae rakhegi to kab tak tu ro is qadar ro ki ye jhil jo tere daman mein hai az-karan ta-karan phail jae tu ai aasman chhune wale pahad tere dard ki aanch maddham hui hai kahan ro bahut tez ro ki ban jae dariya samandar athah aur be-payan samandar mera mashwara lakka-e-abr chhoti pahadi buland aasman chhune wale pahadon ko ashkon se nahlaega aur main apni hi aag mein andar andar pighal jaunga