duniya ki ila-billa thasi padi hai mujh mein han kuchh kaam ki chizen bhi hain is kabad-khane mein ilhami kitabon se le kar falsafa-e-adab aur shairi tak ki libraryan bhari padi hain dimagh mein aankhon mein utar kar dekhen to husn-e-do-alam paenge jalwa-afroz pure pure nigar-khane mere bhi sanam-khane tere bhi sanam-khane kanon mein baithuon se le kar kop-land ki samfaniyan aur tansen ki bandishon se raushan-ara begam ki gaiki tak mahfuz hai aaj bhi lekin gand to macha rakkha hai mere jism ne aur is ke andar dhadakte dil ne gandagi ka dipo hai mera ye jism balki karkhana hai gandagi ka achchhi se achchhi chiz dalen aap is mein bol-o-baraaz bana kar rakh deta hai use dal kar dekhen han han ye phal dalen ye mithai ye tikke aur kabab dalen is mein aur phir nak par rumal rakh kar dekhen ki banta kya hai in ka khair jahan kar-khane hun wahan gandagi to hoti hai laziman gandagi na ho to aaludgi sahi id-e-qurban par shahr ka chakkar to lagya hi hoga aap ne aziz-o-aqarib se milne ke liye jo kuchh sadkon aur galiyon mein nazar aata hai ojhadiyon aur aanton se ubalta hua wahi kuchh hai mere andar bhi ye to meri khaal ka kamal hai jo aap ne pas bitha rakkha hai mujhe aur agar aap mein jhankne ki himmat ho mere dil mein to shayad abhi utha den apne pas se mujhe karda gunahon ki nahin na-karda gunahon ki baat kar raha hun main khwahishon aur hasraton ke janaze pade hain mere dil mein qatar-andar-qatar main ne tashbih di thi kabad-khane se apne aap ko asal mein to ek bahut bada murda-khana hun main fasadat mein qatl-e-am dekha ho shayad aap ne zalzale mein mare jaane walon ki lashen nikalte to dekha hoga logon ko ya phir telewision par bosina aur koswo mein ijtimai qabron ki khudai ke manazir jab lawahiqin koshish kar rahe hote hain lashon ko pahchanne ki aur nak phat rahe hote hain un ke sadand se jald-az-jald dobara dafna di jati hain ye lashen lekin mere dil mein khwahishon aur hasraton ki lashen gal-sad gai hain pade pade aur main phir bhi dafan nahin karta unhen dafn karna chahta hi nahin aur chahun bhi to kahan karun dafn unhen dimagh mein dimagh mein kulbulata hafiza kahan mohlat deta hai us ki dil hi to hai jis mein dafna sakta hun unhen inhi murda khwahishon aur hasraton ko dekh dekh kar to jita hun main ye to dafan hongi mere sath hi aur ab samajh mein aata hai ki kyun banai jati hain badi badi qabren baadshah log to marne se pahle hi banwa liya karte the apne maqbare aur ehram mujhe ghin aati thi badi badi qabron se main kaha karta tha dekho un mal-zadon ko zindagi mein bhi ghere rakhte the zarurat se ziyaada zamin aur mar kar bhi itni jagah gher lete hain ki khuda ki zinda makhluq ko mayassar nahin sar chhupane ko mar kar bhi nahin mitti zamin ki hirs un ki magar ab sochta hun shayad unhen waqai zarurat ho badi qabron ki shayad un ke andar pade hun mujh se bhi ziyaada janaze khwahishon aur hasraton ke shayad un ki ojhadiyon aur aanton mein ghalazat ho mujh se bhi ziyaada waise kahin main bhi to jawaz nahin dhundh raha apne liye kushada qabr ka