kya khabar subh ke sitare ko hai use fursat-e-nazar kitni phailti khushbuon ko kya malum hai unhen mohlat-e-safar kitni barq-e-betab ko khabar na hui ki hai umr-e-dam-e-sharar kitni kabhi socha na pine wale ne jam mein mai to hai magar kitni dekh sakti nahin maal-e-bahaar garche nargis hai dida-war kitni jaane kya zindagi ki jagti aankh ho gai us ki shab basar kitni sham-e-khud-soz ko pata na chala dur hai manzil-e-sahar kitni muskuraati kali ko is se gharaz ki hai umr us ki mukhtasar kitni jine walon ko kaam jine se zindagi ka nizam jine se