hawa ke panw is zine talak aae the lagta hai diye ki lau pe ye bosa usi ka hai meri gardan se sine tak kharashon ki lakiron ka ye gul-dasta tilismi qufl khulne ki isi saat ki khatir hijr ke mausam guzare hain hawa ne muddaton mein panw pani mein utare hain meri pisli se paida ho wahi gandum ki bu le kar zamin aur aasman ki wusaten mujh mein simat aaen uluhi lazzat-e-nayab se sarshaar kar mujh ko main ek pyasa samundar hun tu apni jism ki kashti mein aa aur par kar mujh ko