meri masti mein bhi ab hosh hi ka taur hai saqi tere saghar mein ye sahba nahin kuchh aur hai saqi bhadakti ja rahi hai dam-ba-dam ek aag si dil mein ye kaise jam hain saqi ye kaisa daur hai saqi wo shai de jis se nind aa jae aql-e-fitna-parwar ko ki dil aazurda-e-tamiz-e-lutf-o-jaur hai saqi kahin ek rind aur wamanda-e-afkar tanhai kahin mahfil ki mahfil taur se be-taur hai saqi jawani aur yun ghir jae tufan-e-hawadis mein khuda rakkhe abhi to be-khudi ka daur hai saqi chhalakti hai jo tere jam se us mai ka kya kahna tere shadab honton ki magar kuchh aur hai saqi mujhe pine de pine de ki tere jam-e-lalin mein abhi kuchh aur hai kuchh aur hai kuchh aur hai saqi