mere ghar ke aangan mein to jaane pahchane sab mausam apne waqt pe aa jate hain mausam-e-gul mein surkh gulab aur pila genda ujla bela gori chameli champa aur gul-e-daudi kitne rang bikhar jate hain phir mausam karwat leta hai yakh-basta be-mehr hawa jab raqs-e-zamistan ka aaghaz kiya karti hai sara aangan zard shikasta-jaan patton se bhar jata hai mere dil ke aangan mein bhi ye jaane pahchane mausam aate jate rahte hain lekin ye ek baat ajab hai kisht-e-dil mein jitni qismon ke bhi phul khila karte hain sare surkh hua karte hain aur patjhad mein yakh-basta be-mehr hawa jab raqs-e-zamistan ka aaghaz kiya karti hai shakhon se girne wale patte bhi sabz hua karte hain