dua-e-khair se dua-e-maghfirat tak ka safar pura hua aur ab main apni qabr mein hun zara hairat-zada hun magar ye qabr itni tang bilkul bhi nahin hai main jaisi sochta tha mujhe bas itr aur kafur ki khushbu pareshan kar rahi hai aur kuchh had tak ye dore aankh ke andhera hai magar wo bhi nihayat mehrban dil rakhne wala bahut manus sa lagta hai sab kuchh kuchh aisa jaise koi apni man ki kokh mein phir laut aaya ho wahan upar bhi kuchh halchal hai ab tak abhi tak log mitti de rahe hain jism ko mere ye aawazen bhi aai hain bara-e-mehrbani apne jute khol lije ye mitti qabr ki hai is ki hurmat ko samajhiye afsurda ho gaya hun main ye sun kar agar ye baat main ne zindagi mein jaan li hoti ki bas surat badal lene se mitti pak ho sakti hai meri to apni khak ko main khwar kyun karta main itna zindagi se pyar kyun karta