ek muddat hui sochte sochte tum se kahna hai kuchh par main kaise kahun aarzu hai mujhe aise alfaz ki jo kisi ne kisi se kahe hi na hon sochta hun ki mauj-e-saba ke subuk panw mein koi pazeb hi dal dun chahta hun ki in titliyon ke paron mein dhanak bandh dun surmai sham ke gesuon mein bandhi barishen khol dun khushbuen ghol dun phul ke surkh honton pe afshan rakhun khwab ki mang mein nur sindur ki kahkashan khinch dun ek takhayyul ki be-rabtiyon ko tasalsul ki zanjir dun khwab ko jism dun jism ko ism dun koi tabir dun ek taswir dun aur taswir ko ru-ba-ru rakh ke ek harf-e-tauqir dun kya kahun ye kahun yun kahun par main kaise kahun jitne alfaz hain sab kahe ja chuke sab sune ja chuke tishna izhaar ko mo'atabar sa koi ab sahaara mile ek kinaya mile ek ishaara mile khub-surat anokhi alamat mile an-kaha an-suna istiara mile aarzu hai mujhe aise alfaz ki justuju hai mujhe aise alfaz ki jin se patthar ko pani kiya ja sake khwab ko ek haqiqat kiya ja sake ek zinda kahani kiya ja sake sarhad-e-jawedani kiya ja sake