log kahte hain ki gulshan mein bahaar aai thi baghban ne gul-e-khandan ki qasam khai thi ek nae daur ke aaghaz ka dilkash naghma gungunai thi zaban waqt ki mubham dhun mein log kahte hain ki ek subh-e-tarab aai thi apni aaghosh mein farda ka fusun lai thi log kahte the ki ab mai-kada-e-hasti mein koi shaki na rahega kisi mastane se tishna-kaami ki shikayat na karega koi yun badal jaega maikhane ka dastur-e-kuhan ab tahi jam-o-subu ki na hikayat hogi naghma-zan qismat-e-arbab-e-mohabbat hogi log kahte hain ki tazin-e-chaman ho bhi chuki rasm-e-araish-e-rukhsar-o-dahan ho bhi chuki shana dar gesu-e-laila-e-watan ho bhi chuka dast-e-imroz se mazi ka kafan sil bhi chuka qafile manzil-e-maqsud ko ja pahunche hain marhale qurb-e-lab-e-yar ke aa pahunche hain zindagi phir bhi pareshan si nazar aati hai azmat-e-husn pasheman si nazar aati hai dekh kar khalwat-e-hasti ki khamoshi yaro maut angusht-ba-dandan si nazar aati hai shiddat-e-dard ka ehsas siwa hai ab bhi sham-e-gham aur farozan si nazar aati hai ghaza-e-gul liye rukhsar-e-khizan aaj bhi hai andalibon ka wahi tarz-e-fughan aaj bhi hai shama-e-be-nur yaqin ta-ba-sahar jalti hai zist sharminda-e-sahab-nazaran aaj bhi hai zehn-e-mashriq pe wahi khwab-e-giran aaj bhi hai chashm-e-maghrib ba-hiqarat nigaran aaj bhi hai aaj to wo bhi pasheman se nazar aate hain jin ke kanon ne nae daur ke naghmat sune jin ki aankhon ne nai subh ke jalwe dekhe jin ke honton pe guhar-bar tabassum machle ye fareb-e-rah-e-mubham ki shikasta diwar kab talak qasr-e-taqaddus ko sahaara degi ye tilism-e-shab-e-bimar rahega kab tak khun-fishan dida-e-bedar rahega kab tak