yakum may

qatl-e-gul qatl-e-saba qatl-e-sahar ki taqrib
munaqid hoti rahi barha aiwanon mein

qila-e-jabr-o-tashaddud mein
qasr-e-zulmat mein

khalwat-e-shab mein
gahe-gahe sar-e-rahe

aur is bar ye taqrib badi shan ke sath
munaqid ahl-e-hawas ke hathon

rahguzaron pe hui
bar-sar-e-bazar hui

kucha-e-shahr-e-nigaran mein hui
dasht-o-sahra mein hui

kohsaron mein hui
nam-e-gul nam-e-saba nam-e-sahar wird-e-zaban

har-nafas gam-ba-gam
mohtaram hai rawish-e-makr-o-fareb-e-paiham

shewa-e-rahzani ki khair
pesha-e-qatl ki azmat ki duhai dije

dast-e-qatil ke taqaddus ki qasam khai gai
sathiyo chalte raho

hum riwayat-e-chicago ke amin
khun-e-fučík ke taqaddus ke amin

azmat-e-khun-e-lumumba ke amin
khun-e-nasir ke amin

nazr-e-khun dete rahe hain
sar-e-mahfil sar-e-zindan sar-e-maqtal sar-e-dar

nazr-e-khun dete rahenge hum log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close