jo ilm mardon ke liye samjha gaya aab-e-hayat thahra tumhaare haq mein wo zahr-e-halahil sar-basar jab tak jiyo tum ilm-o-danish se raho mahrum yan aai ho jaisi be-khabar waisi hi jao be-khabar duniya ke dana aur hakim is khauf se larzan the sab tum par mubaada ilm kei pad jae parchhain kahin aisa na ho mard aur aurat mein rahe baqi na farq talim pa kar aadmi banna tumhein zeba nahin ilm-o-hunar se rafta rafta ho gain mayus tum samjha liya dil ko ki hum khud ilm ke qabil na thin aakhir tumhaari chup dilon mein ahl-e-dil ke chubh gai sach hai ki chup kei dad aakhir be-mile rahti nahin