chashm-e-hairat mein zakhmon aur lashon ka jo samundar thahar thahar kar dara raha hai main us ke sahil pe baithe baithe aane wale logon ki khatir do chaar nazmen likh raha hun agar mein aisa na karun to mujhe batao ki kya karun main ahd-e-hazir ke khushk daman surkh lashon se bhar gae hain agar kuchh is ke siwa bacha hai to bas mashinon ka shor sa hai faza mein dhuan ghula hua hai main un fazaon mein ghat raha hun do chaar nazmen likh raha hun agar main aisa na karun to mujhe batao ki kya karun main mere azizo mere rafiqo aao mil kar jatan karen ye ummid ki lau badhae rakkhen hasin mausamon ki aahaton par kan apna lagae rakkhen ufuq pe nazren jamae rakkhen ummid rakhna yahan se ek din naya sawera nae ujalon ke sath ho kar nai umangon ke hath thame mausamon ko badal hi dega kan apna lagae ufuq pe nazren jamae rakhna