aaj wo waqt-e-judai mujhe yaad aaya hai dil-e-afsurda har ek yaad se bhar aaya hai ghair mumkin hai meri aankh se aansu na bahen zabt-e-dil ab to har ek had se guzar aaya hai zindagi hum ko ye malum na tha tere liye apni hansti hui duniya ko rulana hoga jin ko dil dekh na sakta tha kabhi afsurda aaj is dil ne unhen ashk bahate dekha man ki mamta ne bhi lalkara jhinjhoda mujh ko bap nam-dida khada dur se takta tha mujhe aur ek kone mein wo dur khadi jaan-e-hayat apne afsurda se chehre pe jo dale thi naqab main ne chaha ki use badh ke tasalli de dun sil gae hont zaban ho gai sakit meri main na kuchh bol saka aur na kuchh sun paya meri nazron ne na jaane kaha kya kya us se kitne wade kiye aur kitni uthain qasmen subh-e-nau phut rahi thi ki watan chhut gaya dekhte dekhte khwabon ka fusun tut gaya