ghumna har ek ki pahli pasand is liye dala sitaron ye kamand hum hain bachche kya hamara puchhna kis qadar hum chahte hain ghumna is jagah jo koi rahta hai pada us ko kahiye be-khatak pagal bada ye zamin ye chand ye suraj sabhi ghumna hai in ki asli zindagi roz pura ek chakkar ye zamin kar liya karti hai kar lije yaqin is ki gardish mein chhupa hai raat-o-din is ko hafton aur mahinon mein to gin aur sitare bhi hain sare ghumte wo khushi mein chal rahe hain jhumte hain kawakib ke bhi kuchh tabe nujum kah rahe hain aisa ashab-e-ulum wo bhi gardish mein raha karte hain mast in ko kah sakte hain hum gardish-parast ye atarid zohra ye mirrikh bhi ye zuhal uranus aur ye mushtari chaar pushton se nahin sayyahi mein umr guzri hai isi tairaki mein aur hazaron hain abhi sayyarche ghumte hain jo khuda ke hukm se hai anokha sab ka sab shamsi nizam sochiye kitna hai uncha rab ka nam ye nizam-e-shamsi ruk jae agar kaam se ho jae thoda be-khabar phir ye duniya ka jo chalta hai nizam dekh lena sab bigad jaega kaam is liye ai bachcho tum bhi kaam sab kar ke pura karna phir aaram tab