judai chahe kisi tarah ki bhi ho ai dost dil-o-jigar mein ye kante chubho hi deti hai bacha ke rakhna bahut hi muhaal hai is se ye bahr-e-gham mein safina dubo hi deti hai kisi ka is pe koi jabr-o-ikhtiyar nahin ye dil ke khun se daman bhigo hi deti hai hamari aankh se aansu na kyon bahen ai dost hum ahl-e-dard judai ke gham se waqif hain tere firaq mein kaise na dil se huk uthe ki hum aziyyat-e-sham-e-alam se waqif hain zara si thes ke khatre se dil dahalta hai hum apni nazuki-e-chashm-e-nam se waqif hain hamare haal pe lekin na rakh nazar ai dost tu apni rah-e-darakhshan ki samt dekh zara gul-e-tarab se jo daman ko bharne wali hai tu us nigah-e-bahaaran ki samt dekh zara wo chhut rahi hai siyahi ubhar rahi hai sahar tulu-e-mahr-e-darakhshan ki samt dekh zara