mehnat ka kada din dhalte hi jab raat suhani aati hai jab chand sitaron se fitrat aakash ki mang sajati hai jab barbat-o-nai baj uthte hain pael ki sada lahraati hai tab nind se bojhal aankhon mein sapnon ki wo pariyan aati hain sun sun ke madhur lori jin ki dukhta hua dil so jata hai dukhta hua man so jata hai aur raat dhale sapnon ka jahan yun lagta hai jaise rahat-e-jaan sapnon ke jahan mein ai hamdam mahbub ki qurbat hoti hai didar ki saat hoti hai is saat-e-rangin mein pinhan daman ki hawa zulfon ki mahak honton ki lapak banhon ki lachak mehraben umandte sinon ki sarshaar-e-mohabbat karti hain aur raat pighalti rahti hai sapnon ke jahan mein hum donon ek ped ke niche baithe hue mahtab ko takte rahte hain phir subh ka tara ugta hai duniya mein sahar ho jati hai