ye zamin ye hasin sarzamin jangalon parbaton sabza-zaron nashili hawaon ki aamajgah is se rishta mera jism-o-jaan ki tarah khwahishon aarzuon umangon ke sail-e-rawan ki tarah is ki mitti ki sondhi mahak is ki barsat ka har nam-e-jawedan is ki yakh-basta raaton ki shadabiyan is ki jalti hui dopahar ki lapak gosht aur post mein mere paiwast hai fakhta ke paron ki tarah ye zamin meri fikron ki dahliz bhi soch ka khubsurat sa aaina bhi mere ehsas-o-jazba ka ghar mere lafz-o-nawa ke liye mustaqil saeban jis ke sae tale aaj mera wajud irtiqa ki nai manzilon ke tayyun mein masruf hai