wo mahtab utar aae chhat pe koi sham mile mujhe bhi mohabbat bhara koi paigham hazar bar umangon ne mujh ko bahkaya hazar bar khayalon ne mujh ko uksaya hazar bar tabiat teri taraf i hazar bar akele mein dil ko samjhaya magar ye sach hai ki har bar ho gaya nakaam mile mujhe bhi mohabbat bhara koi paigham hazar bar mere dil ka phul murjhaya hazar bar luta mere dil ka sarmaya hazar bar tere aastan pe dastak di hazar bar nafi mein tera jawab aaya ab aur kitna karun intizar-e-gul-andam mile mujhe bhi mohabbat bhara koi paigham hazar bar teri aarzu mein nikla hun hazar bar tujhe dekhne ko thahra hun hazar bar teri rah ki udai dhul hazar bar naya nam le ke lauta hun junun ne kaisa kiya dekh le mujhe badnam mile mujhe bhi mohabbat bhara koi paigham hazar bar hawaon mein kuchh likha main ne hazar bar kiya pesh muddaa main ne hazar bar hui sai-e-raegan mujh se hazar bar ishaaron se kuchh kaha main ne jo ibtida ho zaruri nahin wo ho anjam mile mujhe bhi mohabbat bhara koi paigham