nazm jo marne walon ke gham mein likhen us ko hum ai miyan marsiya hi kahen marsiye lucknow mein likhe jate the aur moharram mein bachcho padhe jate the jal uthe yun khayal-o-nazar ke diye shairon ne likhe kitne hi marsiye marsiyon mein mile manzar-e-karbala jhut aur sach ka hai bachcho ek marka marsiye ke hain shair 'anis'-o-'dabir' marsiye mein nahin in ki koi nazir marsiye mein hai jazbaat ki intiha hai ye rone rulane ka ek silsila unchi ek tan se apne iman se marsiya tum bhi 'hafiz' kaho shan se