ye sab ne dekha ki saz-e-gul se nikal ke khushbu ka ek jhonka hazar naghme suna gaya hai magar kisi ko nazar na aaya ki is ke parde mein gul ne apna tamam jauhar luta diya hai ye meri sochon ki sabz khushbu ye meri nazmen ye mera jauhar ye mere lafzon ke shahazade ye meri aawaz ke musafir nikal ke honton ki wadiyon se khamoshiyon ke muhib jangal mein aahaton ke fareb khate nashat-e-manzil ki justuju mein udas raston pe chal rahe hain safar ke dozakh mein jal rahe hain