wo shahr-e-dost bhi rukhsat hua ki jis ne sada hamare dil mein khilae the chahaton ke gulab khumar baqi hai ab tak hamari aankhon mein hasin lamhon ka jo us ke dam se raushan the tumhaare baad bhi aaenge yun to sab mausam bahut sataenge lekin har ek mauqa par jo hote tum to ye kaam is tarah karte karenge yaad tumhein hum kai hawalon se ajib shakhs tha kadwi-kasili sun kar bhi na tez bola kisi se na wo hua naraaz sajae rahta tha honton pe chahaton ke gulab bichhad rahe ho to wada karo mere hamdam kabhi jo guzro idhar se to bhul mat jaana yahin milenge kisi mulsari ke ped tale karenge baaten shrangar-ras ke dohon ki karenge baaten bihaari ki naykaon ki karenge baaten kisi ke rasile honton ki mahakti zulfon ki kajal ki us ki bindiya ki lachakti shakh se jismon ki chand-chehron ki bichhad rahe ho to wada karo ki aaoge kabhi jo guzro idhar se to bhul mat jaana tumhaare hijr ke mausam ki sabz chadar ko main apne tan pe sajae yahin milunga tumhein