kahan gae wo watan ki ismat bachane wale waqar-o-azmat badhane wale wafa ka parcham uthane wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen kahan gae wo jo dastan-e-wafa ko apne lahu se tahrir kar rahe the jo apni aankhon ki qimaton par bhi khwab tabir kar rahe the jo raushni ke safir ban kar dilon mein tanwir kar rahe the wafa mein zanjir ho rahe the jafa ko zanjir kar rahe the kahan gae wo qaza ko taskhir karne wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen kahan gae wo khizan ko shadab karne wale lahu ko sailab karne wale sitam ko gharqab karne wale kahan gae wo watan ko aazad karne wale unhen bulao hum un ki aankhon se aaj apne watan ko dekhen kahan gae wo sahar ka imkan karne wale harif-e-zulmat saron ko qurban karne wale amin-e-jannat watan pe ehsan karne wale naqib-e-hashmat kahan hain aakhir sitam ki shamen bujhane wale salib-o-maqtal sajaane wale kabhi na aaenge jaane wale