zamin pahle aisi kabhi bhi na thi panw mitti pe hote the nazren ufuq par hamein apne bare mein malum hota tha hum kaun hain aur kya kar rahe hain kahan ja rahe hain magar aaj aalam ye hai panw rukte nahin aankh khulti nahin ajnabi raston par main badhta chala ja raha hun