kan pak jate hain duniya ki shikayat sun kar kis ne jaana hai tumhein kis ka yaqin kar lun main wo jo kahte hain ke tum aam si ladki ho jise fikr apni hai kisi aur se matlab hi nahin apni rozana ki routine mein mein jakdi jakdi wo hi metro ki sawari wo hi aapa-dhapi til na dharne ki jagah phir bhi pahunchna hai jise apni har chiz sambhaale hue rahna hai jise kaun aaya hai pas-o-pesh samajhne ke liye kaun aaega ye taswir badalne ke liye kitna aasan hai ilzamon se chhalni karna kitna aasan hai do baaton se zakhmi karna aise haalat se lad kar jise kuchh banna hai pure karne hain kai khwab tamanna hai kuchh us ke pairon ki ye zanjir hatani hogi nasl-e-hawwa ki ye taswir mitani hogi tum se raushan hai har ek ghar magar aisa kyun hai tum tadapti ho to ye jag mera hansta kyun hai bairi duniya ne tumhein thik se parkha hi nahin meri aankhon se kisi ne tumhein dekha hi nahin