zara tum dariche se bahar to jhanko kaun nala-kunan hai ye kaisi fughan hai atari mein dekho kahin koi billi na ghus aai ho ye kya hai ababil ke jhund ka shor hai dariche ki jali se bahar to dekho har ek samt aah-o-buka hai mera dil hai jis se musalsal hirasan mera dil jo ulfat ke naghmon se mamur tha tilism-e-bahaaran se masrur tha wo dil jis ko sada-mizaji ka ulfat ka atiya mila hai wo dil shor-e-fariyaad-e-ah-o-fughan qahr-e-matam kahan tak sahega dhadkanen tham gain zindagi dam-ba-khud hai zara phir dariche se bahar to jhanko kaun hai jo larazta hua sansen ukhdi hui bhagta ja raha hai meri ruh goya shikanje mein mahbus hai utho ghaur se uth ke dekho kaun hai ye hirasan hirasan kaman aisi surat mujhe aisa lagta hai ye mera saya hai jo mujh se kahin par juda ho gaya tha kaun hai shab gae mere dar par kis ki dastak hai ye tumhein pyar ka wasta yun na baithe raho aise aalam mein darwaza mat kholna darichon ke pichhe se mat jhankna kaisi pur-haul shab hai jise barf-bari ne sulga diya jaan-e-jaan anginat ashk kab se bahata raha hun ki ab chashm-e-giryan mein pani nahin hai kahan ja ke dhundun wo ashkon ke moti aankh ki jhil sukhe to muddat hui kahan jins-e-shabnam ka bazar hai dariche se bahar to dekho