jo kisi bhi lafz par na lagaya ja sake aur wo nuqta alahida alag-thalag khada rahe kisi bhi guman ke sahaare is intizar mein ki koi aisa lafz aa jae jis par use lagaya ja sake ye bhi ho sakta hai wo nuqta sadiyon us lafz ka intizar karta rahe ye bhi ho sakta hai sadha sal guzar jaane ke baad ye sare lafz bosida ho jaen aur gal-sad kar tahlil ho jaen aur kuchh baqi na rahe sirf wo nuqta rah jae