mujhe kuchh nahin malum kya chahti ho tum mujh se mere pas hai kya jo main de sakta hun kisi ko tabl-o-alam hai pas apne na mulk-o-mal aur phir koi bahut khas chiz hi honi chahiye tumhein nazar karne ko to kya nahin hai tumhaare pas pahle se husn aisa ki khuda bhi khush ho gaya hoga tumhein bana kar raunaq si lag jati hai baith jati ho jahan chalti ho to sath chalen sarw-o-sanobar upar se paya hai zehn-e-rasa main to azal se marta aaya hun husn aur danish ke imtizaj par mahz khub-surat aurat kabhi na lubha saki mujhe na hi mutassir kar saki mujhe kam-shakl danish-wari main aksar kahta hun tum mein khuda ne jama kar diye hain chand aur suraj dastanon se mawara chande aaftab chande mahtab koi hai to tum aur phir tumhaari aawaz pattharon ko pighla dene wala gudaz hai is mein bolti ho to charagh se jal uthte hain mahfil mein kyun sharminda karti ho ye kah kar mujhe ki tumhein zarurat hai meri yaad aaya ek roz kaha tha tum ne har kisi ko ek shana chahiye jis par sar rakh ke ro sake wo aur fikr na ho ki mazaq udaya jaega is ka ya banaya jaega is baat ka batangad lekin meri jaan aisa kaun sa dikh hai jo naubat aa gai rone ki kya kahte hain roen tumhaare dushman go main tumhaara dushman nahin lekin main jo hun rone ke liye mere shane par sar rakh kar roin agar tum to tumhaare aansu na ponchh sakunga main main to khud bah jaunga aansuon mein mujhe to is khayal hi se rona aa raha hai ki tumhaari aankhon mein bhare hon aansu tumhein sach-much rota dekh kar kya haal hoga mera han ek surat ho sakti hai albatta tum ro lo mere shane par sar rakh kar aur main ro lun tumhaare shane par sar rakh kar kya ye mumkin hai shana-ba-shana