kuchh na kahna bhi bahut kahna hai lafz sine mein hi ruk jaen to phir baat kahan hoti hai lekin alfaz ke atraf jo wo ek chashm-e-nigaran hoti hai usi chashm-e-nigaran ke sadqe aankh agar khushk nazar aae bahut roti hai zindagi khwab hai taswir teri suti hai khwab tha ya aalam-e-bedari tha teri taswir thi ya tu, tujhe kab dekha tha ab to kuchh yaad nahin aata hai sadiyan guzrin han magar ye ki tera nam liye khushk aaankhon ke kinare kai nadiyan guzrin