tere dil mein ghaltan ho gar wo anokhi kasak ki jis ke sabab tujh ko har shai pukare, kahe: mujhe dekh meri taraf aa mujhe pyar kar tu lapke to har chiz tujh se khinche dur dur tere dil mein ho mauj-dar-mauj ek sail-e-dard magar tu na samjhe kashish kya hai duri hai kyun faqat wo anokhi khalish dil mein ghaltan rahe hawaon ke hathon mein betab maujon ke daf hua tesha-zan sabz sayyal billor par hawa se dhadakte samundar ke sahil pe kaf ye aamezish-e-husn-o-khauf aarzu o farar tere dil mein ghaltan rahe wo anokhi kasak tafawut kabhi nit badalti umangon mein dekh tafawut kabhi lahke sabze ke rangon mein dekh kahin taza konpal mein sabze ki halki jhalak kahin tahni tahni badalta hai patton ka aks kabhi dhup mein nikhra nikhra hai rangon ka rup kabhi chhanw mein sham ke sae mein abr mein sabhi rang kuchh aur bhi gahre hote hue tafawut se jin ki teri aankh hairan rahe ye hairat kashish hai kashish mein anokhi kasak teri fahm ki dastaras se magar dur dur ye mithi rasili anokhi kasak zist hai