kahin kuchh nahin hota na aasman tutta hai na zamin bikharti hai har chiz apni apni jagah thahar gai hai mah o sal shab o roz barf ki tarah jam gae hain ab kahin ajnabi qadmon ki chap se koi darwaza nahin khulta na kahin kisi jadui charagh se koi pariyon ka mahal tamir hota hai na kahin barish hoti hai na shahr jalta hai kahin kuchh nahin hota ab hamesha ek hi mausam rahta hai na nae phul khilte hain na kahin patjhad hota hai kheton aur khaliyanon se saje hue bazaron tak nae mausam ke intizar mein log chup-chap khade hain na kahin koi kunwari hansti hai na kahin koi bachcha rota hai kahin kuchh nahin hota raston par aur ufuq bikhar gae hain aur kitabon pe dhul dimaghon mein jale hain aur dilon mein khauf galiyon mein dhuan hai aur gharon mein bhuk ab na koi jangal jangal bhatakta hai na koi patthar kat kat kar nahren nikalta hai kahin kuchh nahin hota